NetFlix Business Model: Why They’re Successful

Swagat hai dosto, Aaj haam janai gay kaise Netfix bana duniya ka sabsai bara OTT platform aur kya hai iska business model. Toh chleyai toh is blog post ko shuru karte hai.

Is kahani ki shurat hoti hai 1997 mai jab ek aadmi us samai kai sab se barai DVD rental store se ek DVD leta hai magar usko waqt sai nahi lauta pata hai toh usko us company kai duara $40 ka ek late fee karna parta hai aur koi aur nahi balki Netflix kai founder Reed Hasting thai.

Darasal us samai log ya toh movie dekhnai kai liyai yahtoh movie theatre mai jatai thai yah fir unko movies dekhnai kai liyai DVD rent mai lena parta tha.

Aur us waqt ke sabse BlockBuster yeh kaam karte thi but BlockBuster ka ek down side tha agar kise ko DVD late se lauta ta toh usko ek late fee bharna parta jissai log kafi naraz hotai aur isse late fee sai BlockBuster apna ek tehaee profit kamata.

Us Waqt internet kai barai mai log janai lagai thai toh Reed Hasting nai is problem ko dekh tai hua apnai ek dost Marc Randolph nai NetFlix ke istahpna ke.

Tab NetFlix ka Business Model alag tha unhonai mail kai through logo kai movie list ko ekhatta karna start kiya aur unko unki maan pasand movie 3 din kai andar deliver kartai.

Aur untime ka unka slogan tha “NO LATE FEES” jisai log bilkul pasand nahi kartai thai aur isse wajah se NetFlix ka business chal para aur sirf do saal mai unhonai 3 lakh audience base bana liya.

Magar Reed Hasting nai 1 saal baad he apna Business Model ko change karke subscription based bana diya matlab mahinai ap ko bass ek baar pay karna ho aur apnai supscrition kai hisab sai jitne chahai movie dekh sakta ho.

BlockBuster nai NetFlix ke kamiyabi ko dekhtai unhonai bhi apna business model change kiya aur mail kai through apnai orders lanai lagai.

But jaysa ke haam jantai hai ke uska ek tehahee profit late fees sai aata tha aur NetFlix ko giranai kai liyai unhonai kuch jyada he paise kharch kar diya jiski wajah se BlockBuster bankrupt ho gaye aur uska hamaisah kai liyai namo nishan mit gaya.

2004 mai Marc Rondolph mai company se retire ho gaye aur ab NetFlix ka pura power Reed Hasting kai pass agya.

Us Waqt woh dekh rahai thai ke technology change ho raha hai aur yeh DVD wala business zyada dino tak sustain nahi kar payege aur 2007 ke aata aatai unho nai NetFlix ko ek streaming platform bana diya.

Jo ki sirf PC mai internet explorer mai chalta tha aur ussami isnai 7.5 million subscribers bana liya.

Ab chaleyai toh janatai hai ke NetFlix ka revenue kaha sai aata hai. Iska ek matra income iska subcription aur kuch nahi.

Yeh 4 Subscription Model hai. Mobile Only, Basic, Standard aur Premium

Mobile Plan: Yeh recently launch kiya gaya hai sirf India kai liyai kyu India mai agar NetFlix ko expand karna hai toh usko yeh karna he parta kyuki yeh india hai aur yaha jab tak ap paise ko kaam nahi karogai toh apka dhanda nahi chalega.

Basic Plan: Ismai yeh apko koi bhi device mai dekh saktai hai but apko ismai thora quality compromise karkai 480p mai dekhna hoga.

Standard and Premium: Yeh dono plan almost same hai ismai apko koi bhi show yah movie HD quality mai dekhnai milai ga aur agar ap premium plan letai ho toh woh apko ultra HD quality provide karegai.

Yeh consumers kaise aquire karta hai.

Inka consumers aquire karanai ka tarika bara he simple hai yeh 30 din ka free trial provide kartai hai jismai apko jitnai chahai utnai series yah show dekh sakte ho woh bhi ad free agar apko pasand ayai toh unka subscription lo.

Aur agar ap inka free trial laitai ho toh yeh apka email address laigai aur apkai free trial kai baad apko email aur ads kai through target karegai take ap unkai customer banjaoo.

Iska 2018 ka valuation 55 billion dollars hai aur yeh valuation 2020 mai covid kai time mai barkai 240 Billion Dollars ho gayai kyu covid kai time mai log ghar mai rehkar OTT platforms mai shows kuch jyada he dekhnai lagay.

Aaj Netflix duniya ki sab se bare video streaming platform hai bhalai he nayai nayai OTT platform ubhar kai aarahai hai but Netflix un sab ko pachar rahi hai.

Toh aaj ka yeh post yahi khatam hota hai, agar mera yeh post apko pasand aya toh share kijyai isko apno dosto kai saath take woh bhi NetFlix ki is unsuni dasta ko jan sake.

misterishaan
misterishaan
Articles: 47