Flipkart Business Model: How they Beat Amazon – Ishan

Swagat hai dosto, aaj haam janai gai ke Flipkart kaisai bana india ka pehla ecommerce unicorn or iska business model kya hai, toh chalyai toh is kahani ko shuru kartai hai.

Iske shurat hoti 2007 mai jab do dost Sachin aur Binny bansal amazon mai kaam kartai kartai he unkai dimag mai Amazon jaisa he ek service india mai bana nai ka idea aata hai jo woh apnai acchai kahsai job ko choor kar apnai he room sai start kartai hai.

Us waqt inkai pass koi funding nahi thi toh inhonai apnai he 4 lakh rupai laga kai is business ko start kiya. Inhono nai bhi thik Amazon ki tarha apnai business ko online books selling se start kiya aur khudhi deliver kiya order ko.

Pehle saal inhonai sirf 40 shipping kiya magar inhai kya malum tha ki inka yeh business kitna kamiyab honai wala hai.

Darsal us waqt india mai Amazon mai enter nahi kiya tha aur jo online platform thai woh nahi chal paye kyu ke india mai log online payment karnai se dartai thai ke agar unhonai online pay kar diya aur samaan nahi aya toh kya hoga.

Is baat ko Flipkart nai dhyan mai rakhtai huai shurwati dino mai cash on delivery start kiya jissai logo ka dar kaam hua aur woh online saaman maganai lagai.

But inko bohot sari muskilo ka bhi samna karna para kyu ke cash on delivery ki wajah sai bohot sare log saman magatai magar unko pasand naa aanai se wapas bhej detai thai. Magar Flipkart nai dehirai deherai logo ka trust jita.

Aur jab woh ismai kamiyab huai toh unho nai online payment karnai mai logo ko discount denai lagai jisai nai logo ka dhyan khicha aur online payment karnai lagai aur Flipkart nai istarikai se apnai business ko indian market mai baraya.

Inho nai Amazon ke tarha apna khud ka delivery system start kiya kyu ke agar ismai 3rd party service liya jayega toh cost bohot baar jayega.

2008 mai inhonai Bengaluru mai apna pehla office khola aur dhirai dusrai sahro mai bhi apnai offica kholnai lagai jasai ke Delhi, Mubai or Kolkata

2009 tak inhonai apna business established kar liya aur 1 million dollar ka funding bhi uthaya Accel Partners sai jo ke ek investment fund hai aur 2009 khataam hotai hotai inkai under lagbhag 150 employees kaam karahai thai.

Ab tak Flipkart nai indian market ko samaj kar pakar liya tha magar inka asli competitor Amazon nai 2013 mai entry mara aur sirf ek saal kai andar india mai barabari ka takkar denai laga aur yeh aaj bhi chal raha hai.

Aur India mai in do companiyo ka duopoly chal raha hai magar sawaal yeh Flipkart jo ek chota sa brand sirf India mai chalta yeh duniyai kai saab se barai company ko kaisai takar deraha hai.

Iskai bohot sare reason hai chalyai ek ek sab ko jantai hai.

Pehla reason toh hai inka first mover advantage jaisai ke Amazon nai US pehla ecommerce online store tha us he tarha Flipkart india ka sab se pehla online store tha jo customers kai needs ko sahi tarekai sai pura karpa raha tha jis waja se logo ka trust jeet paya.

Dusra ke Flipkart sirf cities ko nahi balkai india kai rural area mai bhi deliver karta hai jiskai waja se yeh india kai total market ko cover kartai hai lekin Amazon sirf cities ko target karta jis wajah se log Flipkart bhi abhi tak india mai tika hua hai.

Aur ek sab se bara reason yeh bhi hai ke yeh apnai platform mai branded kai ilawa acchai cheap product ko list kartai hai taake logo ko saaste daam mai bhi apnai maan pasand products mil paye.

Flipkart nai india mai bohot saare ubhartai brand ko bhi kharida jinho nai apna ek accha kahsa brand image bana liya hai indian market mai jaisai ke Myntra ko $280 million dollars mai kahrida, Jagbong, Ebay India aur Phonepay yeh bhi Flipkart kai andar he aatai hai.

2016 mai Flipkart ka 77% stake Walmart nai karib $16 Billion dollar mai aquire kar liya aur ab yeh business pura Walmart kai haath mai hai.

Ab Jantai Hai Flipkart kai moats kya hai

Inka customer relationship inho nai apnai surwati dino se he accha banaya jissai apna ek bohot accha brand image bana liya hai indian market mai ke yaha log acchai discount mai saste branded aur local products kahi se bhi baga saktai hai.

Yeh famous celebrities aur influencers se apna brand promotion karatai hai kahas kar ke holidays mai taki log inkai discounts ko janai aur inkai platform se saaman kharidai.

Ab Jantai hai ke Flipkart paisai kaise kamata hai.

Inka paisai kama naa pehla source toh bilkul amazon ki he tarha hai yeh sellers ko apnai platform mai apnai products ko list karnai detai hai aur jab koi woh product ko kahrid ta hai toh yeh usko apna commision cut kai baki paisa dedetai hai.

Yeh apnai sellers ko Flipkart kai andar he adds chalnai detai aur isssai bhi yeh paisai kamatai hai.

Flipkart Plus membership agar ap isko letai ho toh apko free delivery, early access to sales, zyada super coins jisai ap product karid saktai ho aur wagera wagera bhi ek source hai jisai yeh apnai plus mebership plan se kamate hai.

Aur jaisa ke hamai pata hai ke e kart jo inka khud ka shipping brand hai isko yeh dusrai delaers kai bhi saaman ko ship kartai hai aur yaha se bhi inka accha khasa income atata hai.

2018 mai jab walmart nai flipkart ko aquire kar liya tab iska valuaition 24.9 billion dollar ho gaya aur aaj iskai platforms mai lakho sellers mai yeh estimate kiya gaya hai ke iska monthly traffic bass 200 Million tak hai.

Sachin aur Binny Bansal kai Flipkart ko Walmart ko dedainai kai baad inkai pass bass kuch he stake bajgya magar yeh kuch stakes billion dollar kai barabar hai Filhal iske CEO Kalyan Krishnamurthy hai.

Aur Flipkart apne jijaan sai mehnat kar raha hai apnai business ko expand karnai ka aur logo kai needs ko pura karnai kaa.

Toh aaj ka yeh post yahi khatam hota hai mai hope karta hu ki maira yeh analises apko pasand aya hoga agar haa toh isse apna dosto sai share karna maat bhulna aur future mai aisai he aur bhi posts likhu ga toh usko parnai kai liyai zarur ana toh tab kai liya tata ann see yaa.

misterishaan
misterishaan
Articles: 45