Ek line mai agar answer du toh haa, but ap imagine kar ke dekhyai ap 60 saal ki umar mai apna pasindida jaga mai ghumrahe hogai, yah apnai wheel chair mai bass marnai ka intezaar kar rahe hogai.
Kyuki reality toh yahi hai, Haam paiso kai baare mai sochkar itna obsessed ho jatai hai ke sahi se imagine he nahi kar patai ke jab tak haam ammer hogai bass investing karke.
Tab tak mout ka farista hamare darwaze mai akar dastak de raha hoga aur hamra itnai salo ka paisa bachana aur invest karna saab baikar ho jyga. Kyuki asaaliyat mai toh ameeri mai jina hai naki ameer hokar marna hai.
Lekin aaj kal apko internet mai, social media mai bass yahi bata ya jata hai sirf invest karro aur tumhe kuch nahi chaiyai tum isse se bohot ameer banjaoo gai but woh khud apna ameer banai ka secret nahi batatai.
Aur sach toh yeh hai ke ap sirf inlogo kai jaal mai phaste ho kyuki ap sirf investing kar ke toh ameer nahi baan sakte.
Kyuki India mai agar ap financially free ho bhi gya 60 saal ki umar tak tab tak toh apkai bacchai bhi apkai kharchai utha sakte hai toh saawal yeh utta hai ke aysa kya karee ke haam 30 yah 40 saal tak financially free ho jayai.
Iska simple tareka hai, diversify your stream of income, sirf yeh maat socho ki bass 40 saal tak mujhe invest karna hai aur mai financially free ho jau ga itnai income kai saath.
Magar yeh socho ke mai jyada se jyada paise kaise kama sakta hu, apnai job karnai ke ilawa aysa kya karru ke mera income flow bar jyai.
Jysai ke free time mai web designing, graphic designing, logo editing, video editing, blogging, video editing aur bhi bohot sarre option hai jo ke ap kar sakte ho extra time mai thora aur mehnat karke take ap jaldi se jaldi ameer baan paao.
Kyuki aaj kal in sab chizo kai liyai logo ko hire kiya jaata hai aur in saab kaamo ka bohot, craze hai.
Aur mai inkai he tarha aur bhi bohot saare side hustle ideas ka pura list banau ga jo ki ek accha income source baans akta hai apkai liyai.
Jaisai ke mai abhi personal finance ke upar blogs likh raha hu agar mai yahi blogging ka skills se freelancing karta aur dusro kai liyai blogs likhta toh kamse kam ek blog post ka 5 se 10 haazar rupay kama sakta.
But mai aysa nahi karta hu kyu, kyuki ab mai share karnai wala hu dusra tarika mai jaahta hu ki mai ek baar beech boou aur baar baar faal khau, matlab agar mai dusro kai liyai kaam naa karke bass apnai blogs likhnai mai focus karu tu mai utnai paisai kama sakta hu ki aap imagine bhi nahi kar sakte.
Kyuki bass yahi karkai log hazaaro rupay kama rahai hai, reviews likhkar, affiliate marketing, Google ads chalakar aur mera bhi wahi plan hai, yeh bass mera personal choice hai.
Magar ap dono kar sakte ho kaise simply jo bhi job ke ilawa woh karo jaisai dusro kai liyai blogs likhna, freelancing karna wagaira wagaira magar yeh maat bhulna ke usko karte karte he apko kuch aisa bhi karna hai jisai ap hamsha paisai kama sako.
Jaise ke blogging yah youtubing surwaat mai yaha kuch nahi hoga magar jaise ek paedh ko bara karnai ke liyai pahle apko ko mahnat karna parta hai magar future mai uska return kaye guna milta hai.
Usshi tarha yeh bhi.
Mai hope karta hu ke maira yeh post apko pasand aya ho ga, agar ha toh isko unkai saath share karre jinhai apko lagta hai ke isko aprnai ke zarurat hai.
Aur haa haar haftai merai shaam 5 baje thursday ko ek personal finance ka blog aata hai aap usko zarur parnai anaa.
Aagar ap chahai toh merai pichlai blogs bhi par sakte khas krke emergency fund or organizing your personal finance.
Toh chalyai miltai hai apnai aab aglai haftai till then take care!